Thursday, June 30, 2011

Kyu



Kyu aisa hota hai, Kal ki soch kar aaj aankhei bhar aati hai,
Kyu akele mei humei, baatei beeti yaad aa jati hai.

Kyu Toote khwaabo ke kaanch, aaj bhi aankho mei chubhte hai,
Kyu Is aabad se sheher mei hum, tanha tanha se firte hai.

Bediyo mei qaid hai paer, fir bhi kyu udne ko jee karta hai
Bebas, Besahara hone ka gum, Ye dil kyu sehta hai.

Kyu hum aisi zindagi jiye
Jisne Bas aansu or  gum diye .

Bhul ke sab, Kyu yeh honth mere, Mujhe aage badne ko kehte hai
Zakhm hai abhi hraa, To kyu phr  chhot khane ko kehte hai.

Kyu yeh sansar ek jhootha Taana Bana hai,
Dil todna to aadat hai, kyu pyar ko bewajah banaya bahana hai
                                                                               
Na ab kisi se koi shikwe hai, Na kisi ka intezaar hai
Shaamil har jeet mei meri, Kaisi si ye haar hai.

Na Kisi ke khyal se ab din hai mere, Na kisi ke naam meri shaam hai,
Jo kabhi tha ek pyara sa ghar, Kyu mera dil aaj ek toota makaan hai,

Kyu aaj bhi aankho mei sapne sajtey hai, Kyu dil mei palti ek aas hai.
Jhoote waadey kar ke jo kal chala gaya, Kyu aaj bhi uski mujhe talaash hai!

No comments:

Post a Comment